English Sikhne Ke Tarike Top 9 Tips Se Jaane
अगर आपको English Sikhna और Bolna Hai तो इस लेख में ऐसे English Sikhne ke Tarike बताएँगे जिससे आप फराटेदार English me baat karnaa सिख जायेंगे. English Me Baat Karne के लिए आपको English Sikhna होगा तभी आप आसानी से English में बात कर सकेंगे.
English sikhne ki tips aapko internet me mil jaayega. bahut saare aise tips aur tareeke hai jisse jaankar aap english me bolna sikh sakte hai. par kya aapne abhi tak english bol paaye hai. english sikhne ki kuch aashan tips honi chahiye jisse aap english bolna sikh sake.
English sikhne ki tips aapko internet me mil jaayega. bahut saare aise tips aur tareeke hai jisse jaankar aap english me bolna sikh sakte hai. par kya aapne abhi tak english bol paaye hai. english sikhne ki kuch aashan tips honi chahiye jisse aap english bolna sikh sake.
Ha ye sach hai ki kisi bhi cheez ko sikhne k ek sahi takneek
hona chahiye taki usse ashaani se sikha ja sake. Par kya sahi takneek ko
istemaal karke English speaking sikha ja sakta hai. agar ha toh kaise sikh
sakte hai English speaking ko. Waise maine ek post likjha hai jissme ye saaf
saaf bataya hai ki kaise aap Bina Padhe English Ko Sikh Sakte Hai.
Ji ha iss post me maine
bataya hai ki aap kaise bina padhe English speaking ko ashaani se sikh sakte
hai. so agar aapko interest hai English ko sikhne me toh iss post ko miss na
kare jarur padhe.
English Sikhne Ke Tarike in Hindi
Toh ab iss baat ko achi taraha jaante hai ki kaise aap
English me baat karna sikh sakte hai? aisa kaun sa tareeka aur takneek hai jisska
istemaal se English bolna ko sikha ja sakta hai. aur aisa kya takneek hai
jisse 100% English speaking ko sikh sakte hai.
Chaliye der na karte hue iss post ki main topic par charcha karte hai aur
English sikhne ke sahi takneek ko jaante hai. agar aap wakai me English ko
sikhna chahte hai toh niche diye gaye sabhi baato ko follow karna hi padega.
Matlab inn sab ko follow karna hi hai chahe kuch bhi ho jaaye.
Agar aap inn sab ko achi taraha se follow kar liya aur
English speaking ko sikhna start kar diya toh 100% nahi sikh sakte hai. balki
aap 200% English speaking ko sikh sakte hai aur dhada dhar bolna bhi sikh sakte
hai. isiliye inn sabko achi taraha se padhiye aur samajhiye phir sabhi ko istemaal
kariye.
Top 9 Tarike English Sikhne Ki
1. Mujhe English Bolna Hai. :- Iss baat ko kabhi nahi bhulna hai. agar aapko English sikhna hai toh iss baat ko kabhi mat bhuliyega. Kyuki jab tak aapke mann me ye nahi rahega toh kaise sikhenge.
2. Kuch Naya Sikho. :- Agar aapne kuch sikh liya hai
pahle se hi toh achi baat hai but yaha par bataya ja raha hai ki kuch naya
sikho. Isliye daily kuch na kuch naya sikhte raho. Taki aapki speaking me aur
gyaan me bhi badhoti ho. Agar aap har roj kuch naya sikhte hai toh isse aapki
knowledge improve hota hai.
3. Learn 2 Words
Everyday. :- Aapko har roj minimum 2
words toh sikhna hi hai. sirf 2 words nahi sikh sakte hai kya. Only 2 words.
Dusre log toh English ko sikhne ke liye dictionary lekar ek page sikh raha hai.
but yaha par sirf 2 words everday.
4. Write Something. :- Sone se pahle ji ha roj sone
se pahle ek copy me kuch bhi topic ke bare me likhiye. Yaha par ye nahi ki
aapko 50 words ya 500 words ko likhe ke liye bol raha hai. balki jitna aap
jaante hai. jaise – aaj 2 line likh diya kisi topic me. Ya kal 5 line likh
diya, parso 3 line likh diya. Har roj topic change karo. Aur jayda se jayda
likhe ki koshish karo.
5. Read English :- Agar aap wakai me English ko
fluently sikhna chahte hai toh English ko padhna hi hoga. Jise English ko padhna
achaa nahi lagta hai usse English ko sikha aur bhi kathin ho jaayega. Isliye
har roj English ko padho. Jaise – books, newspaper, Grammar, English story,
Dictionary, aur chote chote bachho ke books ko jarur padhe.
6. Must Read These :- jaise class-1 , class-2,
nursery, KG-1, KG-2 inn sabhi ke books ko collection kare aur padhiye isse
bahut kuch sikhne ko milta hai. kyuki inn sab ki books me image ke saath likha
rahta hai jisse padh kar aur images ko dekh kar ashaani se samjha ja sakta hai.
isse padh kar aap jaldi English sikh sakte hai kyuki iss books me easy easy hota
hai sab kuch.
7. Baat Kare Dusro Se. :- ye nahi ki Sabhi baato ko
follow karke sikh liya. Bahut saare words bhi sikh liya, aur koi kuch English
me bole toh usska reply man hi mann me de. Agar itna sab ho jata hai toh bolte
kyu nahi hai. boliye chahe jo bhi ho jaaye. Baat toh karna hi kyuki baato hi
baato se sikha ja sakta hai.
8. Sharmana Mat. :- Kuch log hai ki bahut sharmaate hai kehte hai
ki saamne wala kya bolega. Who kya sochega, agar kuch wrong ho gaya toh ! toh mere dost
inn sabhi ko ignore karo aur abhi se bolo chahe jo bhi soche. Ha agar kahi par
atak gaya toh
hindi hai na usse fill kar denge. Lekin bolna hai.
9. Kuch Bhi Ho Jaaye. :- kuch bhi ho jaaye English
toh bolna hai. agar ye baat hai toh aap ko koi nahi rok sakta hai English
sikhne me. Isliye kuch bhi ho aapko English sikhna hai aur sikhna hi hai.
हम आशा करते है की English Sikhne Ke Tarike in Hindi की लेख से आप English Me Baat Karna शुरू कर देंगे. English Me Baat Karna चाहते है तो हमारे अन्य लेख भी जरुर पढ़े जिसमे आपको और भी नए नए तरीके मिलेंगे इंग्लिश सिखने की.
अगर आपको यह जानकारी अच्छा लगे तो इसे सोशल मीडिया पर शेयर करे दोस्तों के साथ.
अगर आपको यह जानकारी अच्छा लगे तो इसे सोशल मीडिया पर शेयर करे दोस्तों के साथ.
Ye Post Bhi Padhni Chahiye
Tags:
Spoken English
